Header Ads Widget

Computer Me Hindi Typing Kaise Sikhe 2021 Me - कंप्यूटर में हिंदी टाइपिंग कैसे सीखे 2021

Hum Jaante hai Ki Hindi Bolna Jitna Aasan hai likhna utna hi kathin hota hai  Computer Me Hindi bhasa kaise type kare yeh problem har kisi ko aati hai Kyuki Aajkal log Hinglish Bhasa ka jada Upyog kar rhe hai Hinglish ka upyog jada kiya jata hai Fir Chaye Facebook , Instagram , Twitter , Whatsapp Ho Bharat me Sabi log Hinglish Ka Hi Jada Upyog Karte hai To Aksar yeh log search karte hai Ki English Se Hindi kaise typ kare

Agar Bloging Ya Koi Office Me Esa Kaam karte hai jisese Aap ko yeh sab hindi me type karna padta ho or aapko jada problem aati hai  to aap Agar Hindi bhasa typ karte hai to aapko bhut pershani aati hogi kayi bar Bhut mataro ki galti bhi hoti hogi isliye aaj hum Is Article Me  Hinglish Wali Bhasa ka Upyog Karke Bataynge ki Kaise karte hai Aayiye Sikhe hai hum  Hinglish Bhasa Ka Upyog 

how to type in hindi in computer windows 7 how to type in hindi on pc offline how to type in hindi in ms word with english keyboard how to type in hindi in laptop windows 10 how to type in hindi in whatsapp on pc how to type in hindi in word how to write in hindi in laptop windows 7 how to type in hindi using english keyboard


Hinglish Lanuage Kya hai?

Hinglish language ak language hai Jo ki Hindi Or English Ka Combination hota hai Matlab Ke Vesa language Jo ki Hindi Or English Dono Language Se milkar bana ho use Hinglish Language kaha jata hai

log Aajkal India Me Sabse Jada Hinglish Language Ko Pasand Karte hai Jaise:- Facebook , Whatsapp me Aksar Log Hinglish Language hi Type karte hai kyuki yeh Hindi Language ko Represent karta hai English Or Hindi Language Ka Mikshan hota hai Jise type karne me bhut hi aasani hoti hai

Example:- श्याम बाजार जाता है 

Example:- Shyam goes to the market

Example:- Shyam Bajar Jata hai

Computer Me Hindi Typing Karne Ka Tarika ?

Computer Me Hindi Typing Mukhye Do Tariko se ki jaati hai Ak to Font Based Type hoti hai Or Dusri Input Method Editors Ki Madad Se ki jaati hai In Dono Tariko Ke baare Me Maine niche Bataya hai

1.) Font Based Typing

Computer Me Likhne Ke Liye Fonts Ka Upyog Kiya Jata hai Aap Hindi Fonts Ka Upyog Karke Hindi Bhasa me Document Type Kar Sakte hai Bas Aapko Font Style Se Apni Pasnad Ka Hindi Font Chunana Padta hai Or Keyboard Ka Layout hindi Me Badal Jata hai 


2.) Input Method Editors Ka Upyog Karna ?

Input Method Editors Jise IME ke Naam Bhi Jana jata hai Ak Computer Program hota hai . jo Bina Font Badale Aapko Type Karne Me Madad Karta hai Is Tool Ki Madad Se Aap Hindi Characters Ko English Keyboard Se hi likh Sakte hai ha hum bina hindi type kiye hindi ko likh sakte hai

Yeh tarika Saral Or Bhut Upyogi Hai Aap IME Tool Ki Madad Se Hindi Typing Jaane Bagare Tej Gati se Hindi Likh Sakte hai Naye Users ke liye me Computer me hindi likhane ke liye Is Tool Ki Salaha deta hu Niche maine bataya hai ki kaise aap Input Method Editors Ki Sahayta Se Hindi Typing Kar Sakte Hai 

1.) IME Tool Download Kare ?

Computer Me Hindi Typing Karne ke liye sabse Phele Ak IME TOOP kO Download karna hai Is Tool Ko download karne ke baad aap asaani se Tej Gati se Hindi Typing kar Payange Is Tool Ka Naam Hai -Indiac Language Input Tool Ise Microsoft Ke Sath Milkar Viksit Kiya hai Aap Microsoft Website par jakar download kar sakte hai


2.) Tool Ko Install Kar Le ?

Jab Yeh Tool - Hindi Indic Input Aapke Computer Me Install Ho Jayega Tab Aapka Computer Hindi Typing Ke liye Tyaar Ho jaayega Is Tool Ko Bhi Anye Software Ki bhati Install Kar Le Adhik Jaankari Ke liye Hamari Is Guide Ko Dakhiye 

3.) Ak Text Editor Ko Open Kare ?

Ab Apne Computer Se Wordpad Ya Notepad Ko Open Kariye Matlab Aapko Ak Text Editor open karna hai Koi Bhi Text Editor Program Chalega Aapke Computer Me Jo Program Hai Aap Use Open Kar Lijiye

4.) Input Bhasa Chune ?

Iske Baad Aap Language Bar Par Click Kariye Jo Aapko Window Taskbar par Niche Dayi Traf System Tray Me Milegi Esa Karne Par Aapke Saamne Bhasao ki Suchi Khul Jaayegi yaha Se Aapko Uper Wali Bhasa HI Hindi Indian Ko Select Karna Hai

Jaise Hi Aap HI Hindi India Ko Select Karnge Tabhi Language Bar Me Yeh Dikhane Lagi Iska Matlab Aapke Computer Ka Input Method Badal Chuka Hai Jise Aap Niche Dekh sakte hai 

5.) Typing Shuru Kare ?

Jab Aap Computer Me Hindi Typing Kar Sakte hai Try Karne Ke liye In Shabdo ko Likhiye

Example:- Mohan Bajar Jata hai 

angreji Typ Karte Vakt Agar Aapke text Editor Me Is Parkar Dikhayi Dega 

Example:- मोहन बाजार जाता है 

Agar Asa Likha hua aata hai to aap samjho ki aapka safaltpuravk  apne computer Input Method Tool Install Kar liya hai or aap Angreji Typing se hi hindi typing kar paayenge

Mobile Me Hindi Typing Kaise kare ?

Aap Apne Phone Me Hindi Typing Karna Chate hai to Iske Liye Aapko Niche Batayi gayi Steps Ko Follow Karna hoga

1.) Phele Aapko Apne Phone me Playstore se "Google Indiac Keyboard" Hindi Typing App ko Install Kar Lena hai

2.) Install Hone ke baad Aapko Application Ko open kar lena hai Or Select Input Method Par click karna hai

3.) Ab aapke saamne kuch vikalp Saamne Aaynge Inme Se Google Indiac Keyboard ko select kare

4.) Google Indiac Keyboard ko select karne ke baad Aap Hindi Typing Kar Sakte hai

Jio Phone Mein Hindi Mein Typing Kaise Kare ?


Jio Phone Me Aapko Koi Software Download Karne ki koi jarurt nhi hai isme phele hi function diya hua hota hai Bas Aapko Niche Diye Gye Instruction Ko follow karna hoga 

1.) Sabse Phele Apne Jio Phone Ke Menu Se Setting Ko Open Kare

2.) Yaha Par Aapko Dayi Tarf Personalization Ka Vikalp Dikhayi Dega Us Me Jaaye

3.) Ab Aapko Input Method Ka Vikalap Dikh Rha Hoga Use Open Kare

4.) Sabse Aant me Aapko Input Language Ko Open Karke Hindi Select Karna hai

Aakhir Me,

Hanji Dosto Kaisi Lagi Hamari Aaj Ki Post Aj Humne Computer me hindi typing kaise kare yeh aaj is Post Me Sikha Hai Me Aasha Karta hu ki aap sikh gye honge ki kaise Hindi typign kar sakte hai kaise phone me Computer me jio Phone Me hindi typing kar sakte hai Agat Aapko yeh post acchi lagi hai to Aap Ise Apne Social Media Jaise Facebook , Instagram , Twitter Aadi par Share kar sakte hai 

Post a Comment

0 Comments